na shayar hu ya koi kahani kaar bus man ki baato ko lavzo me lana jaanta hu addhuri kahani ko poora karne ki chaah rakhta hu manzil muje kaha le jaa rahi hai usse pata karne ki koshish karta hu subha ho ya sham ho, raat ho ya savera nahi sone deta ye sawal 'kya likhu is baar? '
Jo khwabo me chain na chura payi
Aaj baato mai dil jeet rahi hai
Kho jaata hu un lawzo me jo aati hai dil se
Saase bhi kam pad jaati uski muskurahat ki jhalak se
...
Ek anjaan mod pe, ek adhura sa kitab mila
Jise poora karna zindagi ka maksad ban chuka
Har panne me hai, ek ankahi kahani chipi
Jiske mohabat ke lamhe dil ko chu gayi
...
Rait ke sagar mai paani ki nami ban jaati
Ishq ke toofan mai patto ki leher ban jaati
Aakho hi aakhon mai sab keh jaati
Kon hai tu jo mujhe ittni tadpati
...
Teri naarazagi me bhi tera pyaar dhike
Teri roothne ke baad tujko man-an-ne mai bhi ek khushi mile
Iss ishq ke pagal pan ko kis naam se pukaru
Mohabatt ban gayi zindagi ka maksad ye batadu
...
Kadar na ki dil ke alfazo par
Dhadakano ko na samja
Jee raha tha ek zindagi
Jise poora tha samajraha
...