Wo Ajeeb.O Ghareeb Shaqs! Poem by Aarzoo Mehek

Wo Ajeeb.O Ghareeb Shaqs!

Rating: 5.0


Wo shaqs
Wo ajeeb sa shaqs
Jiske lafzon main latafat
Ankhon main shararat
Andaz main sharafat thi
Jisse naaz tha apni wafa par
Jiske chehre se masoomiyat chalakti thi
Jiski ankhein sach bolti thi
Jo sartaapaa paikar.e wafa tha

Wo Shaqs
Suna hai aaj mar gaya
Khud apni hi nazron main gir gaya

Wo shaqs
Wo ajeeb sa shaqs
Jo mujhse bichaR kar
Duniya ki nazar hogaya
Jazbaat ka taajir ban gaya
Ehsaasaat ka qatil ban gaya

Wo shaqs
Wo ajeeb sa shaqs
Duniya ki chaka chaund main
Saari hadein toR gaya
Man ka saudagar ban gaya
Tan se naata joR gaya

Wo shaqs
Wo ajeeb sa shaqs...! ! !
Duniya ki ranginiyon main
Apni asliyat ko bhool gaya
Jag sansar se haar gaya
Pyar ko apne maar gaya

Wo Shaqs
Wo ajeeb o ghareeb shaqs.

© Aarzoo Mehek

Wo Ajeeb.O Ghareeb Shaqs!
Thursday, March 3, 2016
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 03 March 2016

Wo jo kabhi Shaqs hua karta tha, Ab nahi raha, apna wajood kho gaya, ansoo dekar kisi ki ankhon mein Who dhuAa Dhuaa sa ho gaya...........Kuch aysa mehsoor kiya maine apki khoobsoorat Nazm padh kar..........Loved it Masha-Allah kis khoobsurti se aapki kalam bolti hai dil ke afsaane..........Beyond ratings yet maximum, that's my limit.

2 0 Reply
Aarzoo Mehek 03 March 2016

Pazeerai ka shukriya, ye khoobsurat lafz mujhe aur likhne par majboor karte hai. Jo aas paas dekhti hun mehsoos karti hun bas likh deti hun Asim. Shukriya is nazm ki baarikiyon ko mehsoos karne ke liye. Allaah tumhe khush rakhe.

0 0
Edward Kofi Louis 09 March 2016

Peace to the world! With the minds that care. Thanks for sharing.

0 0 Reply
Souren Mondal 05 March 2016

You have hit it beautifully! ! 'Wafadar to sab soch te hai ke hum hote hai / Par kahi jake hum khud se hi bewafaayi karte hai / Auron ka kya kasoor? ' Beautiful verses.. Just beautiful..

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 03 March 2016

Very amazingly drafted poem about love an life. This imagery speaks about life a lot. Interesting sharing done.10

1 0 Reply
Aakash Nengroo 03 March 2016

Nyc one indeed......pyaar mei dard aur pyaar ka dard aaaahhh........thanks for sharing.....i would like you to read my poems too....aakash

1 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 03 March 2016

Kiseke bichaRne ka is qadr khubsurat andaz e bayan sirf aaphi kar sakti hain Aarzooji. Duniya ki ranginiyon main Apni asliyat ko bhool gaya Jag sansar se haar gaya Pyar ko apne maar gaya jab apna pyaar is duniya k liye koi choR de tou wo beshak...apne pyaar ku bhool jata hai apni asaliyat ku bhool jata hai. wo jeete ji mar jata hai..10+++...loved and enjoyed

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success