Ulfat ko tune udhar kar diya hai,
Nafrat ko tune idhar kar diya hai.
Mere samne chahe kuch bi karo tum,
Fraud ne tere toh ghar kar diya hai.
Tijaarat-e-Mohabat aadat hai teri,
Par Chaak yah mera jigaar kar diya hai.
Raaz apne muj se chupaaoge kitne,
Tune chaal ko apni nazaar kar diya hai.
jante nahi ho ulfat mein marna,
Muje marne ke qabil magar kar diya hai.
Lamha bhar hota toh Ranjoor Sahta,
Mere liye gham Ahzar kar diya hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem