Do badan saath saath
kabhi raat k saagar main
do lehroN jaisay lagtay hain
Ragistaani raat main do badan
saath saath kabhi do pathar
se ho jaatay hain
Kabhi kabhi do badan
saath saath raat main
aapas main jhuD jaatay hain
Do badan saath saath kabhi
do chukoo bun jatay hain
aur raat ghaD-ghaDanay lagti hai
Do badan saath saath kabhi
khulay aasmaan main do girtay
taaroN jaisay lagtay hain.