Abke agar ham jo bichad jayen
To shayad hi kbhi milenge
Magar hamare ghar k dariche
Usi tarah khule
Tumhe tumhari rahon main milenge
Kbhi Jo jee kare to chale aana bheetar
Tumhare die phool usi kadar aangan main lagaye milenge
Jab sawalon k bhoj jawabon se zyada bad jaye
Mere ghar k daraaz k ek kone main
Lifaafon main kaid tumhe tumhare sawaalon k jawaab milenge
Jab kbhi dekhne ka jee kare humko
Apni akhon ko band krlena
Ham tumhe tumhare dil k ek kone main milenge
Rokna chaho to rok sakte ho hamko aaj tum
Aakhri baar tumhara intzaar ham
Usi shiddat se karte hue samandar k
kinaare milenge..
Aj koi waqt ka bahaana na banaana
Kyunki agar aaj jo ham chale jayen
To phir aasmaanon main milenge..
Wonderful emotion is expressed in emotive mind. Fantastic sharing done definitely.10
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Aj koi waqt ka bahaana na banaana Kyunki agar aaj jo ham chale jayen To phir aasmaanon main milenge.. A very emotional and touching poem.