One day Intellect said to the heart
'A guide to the misguided ones I am
Being on the earth I reach up to the sky
Look, how deep in comprehension I am
...
Read full text
Very interesting conversation between the two in a high philosophy of life.
Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se Kaha Bhoole Bhatke Ki Rahnuma Hun Main Hun Zameen Par, Guzr Falak Pe Mera Dekh To Kis Qadar Rasa Hun Main Kaam Dunya Mein Rahbari Hai Mera Misl-e-Khizr-e-Khajasta Pa Hun Main Hun Mufassir-e-Kitab-e-Hasti Ki Mazhar-e-Shan-e-Kibriya Hun Main Boond Ek Khoon Ki Hai Tu Lekin Ghairat-e-Laal-e-Be Baha Hun Main Dil Ne Sun Kar Kaha Ye Sub Sach Hai Par Mujhe Bhi To Dekh, Kya Hun Main Raaz-e-Hasti Ko Ti Samajhti Hai Aur Ankhon Se Dekhta Hun Main! Hai Tujhe Wasta Mazahir Se Aur Batin Se Ashna Hun Main Ilm Tujh Se To Maarifat Mujh Se Tu Khuda Joo, Khuda Numa Hun Main Ilm Ki Intiha Hai Betaabi Iss Marz Ki Magar Dawa Hun Main Shama Tu Mehfil-e-Sadaqat Ki Husn Ki Bazm Ka Diya Hun Main Tu Zaman-o-Makan Se Rishta Bapa Taeer-e-Sidra Se Ashna Hun Main Kis Bulandi Pe Hai Maqam Mera Arsh Rab-e-Jaleel Ka Hun Main!