Slaves Poem by Nadia umber Lodhi

Slaves

Rating: 5.0

mere mālik
kyā ham bāñdiyāñ haiñ
jo aag meñ jalā kar maar dī jaa.eñ
ham vo javāniyāñ haiñ
mohabbat ke naam par jo masal dī jaa.eñ
ham vo kaliyāñ haiñ
havas kā nishāna banā kar
jin ke par noch liye jaa.eñ
ham vo titliyāñ haiñ
jo maslahat ke naam par
qurbān kar dī jaa.eñ ham vo beTiyāñ haiñ
jo shara.ī jā.edād se mahrūm kar dī jaa.eñ ham vo bahneñ haiñ
mere mālik
kyuuñ ham bāñdiyāñ haiñ

Sunday, July 15, 2018
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 11 March 2019

This is how the society treats a women but they are far better than men in many aspects, a thought provoking poem.10+

0 0 Reply
Ahmad Ali 12 October 2018

No you are not slave

0 0 Reply
Kinza Ahmad 29 July 2018

Truth reality of hindo pak

3 0 Reply
Nadia Umber Lodhi 04 October 2018

😥😥😥😥😥😥😥😥😥😥😥😥

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Nadia umber Lodhi

Nadia umber Lodhi

Islamabad
Close
Error Success