mujhse meri bitiya aksar yeh puuchhti hai,
num aankhon ke beech maa tu kis ummeed ko tatolti hai,
ab main use kya samjhau kaisa yeh sansar hai,
Aurat ka roz yahan lagta yeh bazaar hai.!
bhuk aur laalsao mein behkar log karte yeh vyapar hai,
yahan har rishte ke naam par, hota uska balatkar hai....
Kabhi dulhan ke libaas mein doli mein bheji jaati hai,
kabhi tavayaf ke roop mein sej par bechi jati hai,
har ek aadmi ke liye woh bhuk mitane ka auzaar hai,
har kadam par raundi jaati woh har baar hai.!
itna sab kuchh sahne par bhi kyun khamosh baithi hai woh,
itna dard pane par bhi kyun kuchh na chaahti hai woh,
Samjho uski kadr aur do usko uskaa aadhaar,
varna khudko AZAD kehne ja tumko hai nahin ADHIKAR.!
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Bahut khoob. You may like to read my poem, Love and Lust. Thanks