Zamane ki suni hai yeh sadhaa,
Ke kon bullaye logon ko.
kis cheez ka naam hai zindgi,
Yeh kon bataye logon ko.
koi apni chaal mast hai,
Koi apne hal mast hai.
Dekh karain na shoor bharpa,
Kon samjhaye logon ko.
Hind ho yah ke pak ho,
Afghaan ho yah Aaraq ho.
Tum ko wahan se mila kiya,
Yeh kon dikhaye logon ko.
Insaan Ho yah hawaan ho,
Becha ho yah ke jawaan ho.
Sab ki hai yah cheeh-o-Aah!
Yeh kon sunaye logon ko.
Apnon mein na ghaaron mein,
Hain nafas parasti ki lehroon mein.
Sun lo Ranjoor ki iltaajah,
Yeh kon sikhaye logon ko.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem