Rutha tha eshwar
Nazaron ne chaha unki chahat ne sawanra
Khil gaye gulabi mousom or ghataon ne bhigoya
Mann ki nadi me bahne lagi khushiyon ki dharayen,
Laga mano asma khada hai bahen failaye
Or sheetal havaon ne shama ke angan ko sanvara
Ethalati si vadiyan kar gain virano ko aabad si
Or laga ki barso bad lag gaye hain khushiyon ke mele
Dekh yah sab mann ne kaha rutha tha jo eshwar insa se jo ab maan gaya
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem