Poem Poem by Nadia umber Lodhi

Poem

Rating: 5.0

aankhon ko ek khwab dikhaya ja sakta hai
qissa yusuf ka dohraya ja sakta hai
sari duniya ko thukraya ja sakta hai
husn-o-ishq dua se paya ja sakta hai
jo mujh mein ho zulekha tujh mein yusuf koi
umron ka sarmaya laya ja sakta hai
us ko kahna meri aankhon ke kase mein
did ka ek sikka to dikhaya ja sakta hai
nadan itna mat samjho tum dil ko 'amabar'
kab yaadon se ise bahlaya ja sakta

Friday, June 22, 2018
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 11 March 2019

Dil ko behlana mushkil bhi hai aur aasan bhi, ek khoob surat nazm...10+++ nadan itna mat samjho tum dil ko 'amabar' kab yaadon se ise bahlaya ja sakta

0 0 Reply
Konab Ghumman 11 March 2019

boht khoob........ read my poetry......comment...... stay blessed

0 0 Reply
Ahmad Ali 28 October 2018

عمروں کا سرمایہ لایا جا سکتا ہے واہ

0 0 Reply
Noor Ali 29 July 2018

Greens are beautiful but reality is bitter

3 0 Reply
Nadia Umber Lodhi 04 October 2018

Dreams are beautiful......

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success