Wo samay kyaa ajab hota hai, jab intihaan sar par hota hai.
Hum lge rhate hai, taiyari me, magar mann me sabar kaha hota hai.
Bhool jaate hai, yaad kiya hua bhi magar yhi to sahas ka pal hota hai.
Hum jaate hai, jab peparo ko dene ke liye to mann me ajab sa kasish hota hai.
Aur jab kholte hai, pepar to uska andaj hi alag hota h.
Chaunk jaate hai, kuchh pal ke liye magar sab pdha hua hota hai.
Fir dil se likhte hai, magar fir bhi kuchh rah jaane ka dar hota hai.
Akhirkar ban jaate hai, sab prashn magar km ank aane ka kasis rhta h.
Fir dil ko smjha lete hai, magar result ka mizaz hi alag hota hai.
Yhi to mere dost intihaan ka sabab hota hai.
Mann ko smjhate huye pepar karna yhi to gajab hota hai.
Akhir de aate hai, pure pepar magar ek-ek din result ka sabar hota hai.
Jab pta chalta hai, ki result aaj aana hai, to mann me ajab sa feel hota hai.
Aur jab dekhte hai, result computer par to harday ka speed
Gajab hota hai..
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem