Kanha teri preet me,
aaj dil fir se ghabraya hua hai.
Tere bansi ki har geet me,
mera naam pukara gaya hai.
Kaise samjhaaun is samaaj ko,
in padhe likhe gawaaron ko.
Dikhlaata mujhe apna aham hai,
kehta..mera kanha prem wehem hai.
Kehta samaaj mujhe sahaagan hai,
kaise batlaaun ki ye jogan hai.
Kanha me basa jiska praan hai,
usi se dur ye abhaagan hai.
Fir se madhuwan ki aangan me,
ye man jhumna chahta hai.
Behte tere prem paawan me,
dil tere hi sang rukna chahta hai.
Is jeeven me kya rakkha hai,
aaj aur kal..sab moh maaya hai.
satya jo maine ek seekha hai,
jeevan anmol tab..jab tera saaya hai.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem