Char arthi,
Char paher yu isme;
Ana jana nach nachana,
Bhut kuch h dunia me:
Kangan allsi, gehna vehna,
Kya maut ka tamachha;
Jabtak jeena, kya sinchna,
Kya pina ispe:
Marna varna, tu kya jane,
Jo hona so hona;
Lena kya h jo dena,
Vahi bicchona ghr se:
Daman se yu hath milaya,
Mila lia jaise khud se;
Rona dhona, yu kyu mudna,
Chhuda lia ho khud ko khud se:
Alvida kenhna, poojna poojvana,
Faltu ka kya h ismey;
Kuch mile na mile, miley to mile,
Ag lagey is putley zism me:
Tevar dikhana,
Kya cham cham kya chamkana;
Pingle loha isme,
Cham cham kannch lipte khudse khud me:
Kya sinha kya anghh,
Sab mitti h isme;
Dhool vool, hathi ghodey,
Sb milengy ek din isme:
Bhavishya ka kya,
Ateet h usme;
Pagal vagal,
Kalpana valpna ka kya h isme:
Sagar vagar, unchi unchi lehar isme,
Pyas kya bhujhe, namak h sb usme;
Dekhna sikhna bahut kuch h dunia me,
Altu faltu paap puniya ka kya h tujhme:
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem