Mukammal Ye Dastaan Mujhko Karni Hai Poem by Janid Kashmiri

Mukammal Ye Dastaan Mujhko Karni Hai

Mukammal ye dastaan mujhko karni hai
Ab toh bas tum se hi wafa karni hai

Tere husn ki roshni mein kho jana hai
Dil ki har dhadkan tujh par hi waarni hai

Teri palkon ke saaye mein jeena
Zindagi ki har ghadi tujh par nisaarkarni hai

Tere labon ki muskaan mein basa rahoon
Har lamha tujhe apne khwabon mein basana hai

Teri aankhon ke samandar mein doob jana hai
Pyaar ke is safar ko tere saath guzaarna hai

Tujh se hi meri duniya hai
Ab toh bas tum se hi pyaar karna hai

Dil-e-Janid ki har dhadkan, har awaaz
Tujh ko pukare, tujh ko chahe, tujh ko hi maange hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success