Mitti ka hai ghar apna
Baarish ne b aana hai
Ik shart e mohabbat hai
Ik shart e zamana haii
Rasta b hai lamba sa
Manzil b kahin gum hai
Kashtii b hai tooti si
Toofaan ne b aana haii
Naamoos mohabbat se
Ab tak na hue aakash
Na huii to vo be dil haii
Jo huii to diwana haii
Bardaasht nhii hoti
Raatein ye december kii
Jazbaat hai yekh basta
Barf aab zamana haii
Kya tujko bataaonga
Dukhda meri chahat ka
Choti si umer apnii
Lambaa vo fasana haii
Rodaad e mohabbat merii
Sun ke vo yun bol uthe
Kaafi haii mazak aakash
Ghar ko b to jaana hai...
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem