Ghar se bahut door
Iss parayi basti mein
Ek taraf teri yaad 
Doosri taraf manzil ki talaash
Shehar ki iss afra tafri mein 
Din har ki bhatkan ke baad sham ko
Meri bachi
Na tum hoti na hota thikana mere paas
Bas Kuch aansu hote
Jo ro-ro kar bhula dete 
Mre jeevan ki har bhuk aur pyaas 
Dil mein jitna bhi sab tha 
Tere liye mere paas 
Meri bachi
Hokar bhi chiin-bhiin 
Raha na kuch bhi sadhan
Eo sab dene ko
Mukammal raah ka aaj mere paas
Phir bhi teri parwarish ki khatir 
Zinda rehne ki meri ek adhkoshish
Ek umeed ke roop mein
Meri bachi
Ab bhi baaki hai iss raj ke paas…………………                
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
 
                     
                
An amazing creation just full and fill with lots of deep emotions....loved it :)