Dur itne ho kar bhi,
Arma ek ho kaise sabhi,
khwayisho ka kya hai,
Palak jhapkte hi ye badalta hai,
Jeet me aur har me,
Meri kya aur aapki kya,
Zindagi ki to dhar hai aisi,
Hath na ye aayi hai kisi ke kabhi,
Gamo ka kya hai,
Ye to har jagah bhara pada hai,
Pyar ki hi to kami hai,
Isi ko to pane ki hasrat bani hai,
Pari nhi hu mai koi haseen si,
Hu to kewal eh bhag is zameen ki,
Lamhe hi to hai ek aise,
Jo rag rag se hai mujhe pahchane,
Magar ye aarzu hai aapki kaisi,
Mere lamho se milne ki,
Ye hasrat hai kaisi,
Sawan ko gin ke mai kya karu,
Sajan ke bina mai inse kya kahu,
Brsate to bas bekarari hai,
Magar wajah nhi khwaish meri,
Jo mulakate hamari adhuri hai! ! ! ! ...
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem