Mujhse koi galat wachan na kahiyo,
mere swaas me v basaa Kanha hai.
Mere man me koi vish na bhariyo,
mere sar pe Kanha ki chaaya hai.
Roko na mere badhte kadam,
ye Kanha ki ore hi badhega.
Kanha hi mera ek priyatam,
man usi ka naam bhajega.
Dukhdaai grihasthi bandhan hai,
par mera Kanha prem atal hai.
Jeevan se accha to swapna hai,
jahan Kanha darshan v saral hai.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Dukhdaai grihasthi bandhan hai, par mera Kanha prem atal hai. Jeevan se accha to swapna hai, jahan Kanha darshan v saral hai........touching and impressive expression. Beautifully penned. Nice devotional poem. Thanks for sharing.
Thank you very much sir for appreciating my work