Mera Ishq Mazak Nahi Hai Jaana Poem by Janid Kashmiri

Mera Ishq Mazak Nahi Hai Jaana

Mazaq mein hoon, mazaq meri zindagi
Magar mera ishq mazaq nahi hai jaana

Teri yaadon mein basa hai mera dil
Yeh dard, yeh haal, faraq nahi hai jaana

Har pal tujhe sochta hoon mein tanhai mein
Yeh khwab, yeh khayal, saraab nahi hai jaana

Mere ashkon mein chhupi hai teri kahani
Yeh dastaan, yeh bayaan, khaali nahi hai jaana

Har lamha tujh se mohabbat karta hoon mein
Yeh wada, yeh qasam, adakaari nahi hai jaana

Mazaq mein hoon, mazaq meri zindagi
Magar mera ishq mazaq nahi hai jaana

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success