Mera toh dukh nahi hai dukh
Mera gham bhi kaha gham hai
Yahan par toh sab hai insan
Magr kaha insanon mein hum hai
Jinhe hum apna samajhte the
Wahi toh humse anjaan hai
Ajeeb hai yeh duniya bhi
Yahan dil se koi begana hai
Har koi yahan muskurata hai
Par muskurahat jhooti hai
Chehre pe rang khushiyon ka
Dil mein toofan chhupi hai
Meri khushiyon ki baat chhodo
Mujhe toh gham bhi apna lagta hai
Yeh duniya hai rangin maya
Har rang yahan sapna lagta hai
Mera toh dukh nahi hai dukh
Mera gham bhi kaha gham hai
Yahan par toh sab hai insan
Magr kaha insanon mein hum hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem