Mehnat ka hal jab chalaye mazdoor
Yatnon se loha manwaye mazdoor
Patthar se neenv tak, ji huzoor
Neenv se deewaron tak, ji huzoor
Deewaron se makaan banaye mazdoor
Yatnon ki pratimoorat si
Khoon mein paseena bhi
Paseene mein mitti bhi
Or mitti mein mil jaye jiska noor
Woh hai mazdoor, haan wahi toh hai mazdoor...
Mehnat ka hal jab chalaye mazdoor
Yatnon se loha manwaye mazdoor
Gareebi se lachaar bhi
Mehnat uska auzaar hi
Mitti se pakki maitri bhi
Haston se sapnon ki hoor
Mehanatana hai koson door
Par mehnat karta woh zaroor
Or agni-tapas mein mil jaye jiska noor
Woh hai mazdoor, haan wahi toh hai mazdoor...
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem