Mata-Pita, yah pavitra gathjod
Swarg v dhara kahin na tod
Kya Ishwar? or Kya Insaan?
Sabhi karein 'Maa' ka samman,
Chahe Krishn kaho ya Ram
Maa ki 'mamta' nahin hai aam,
Parsthitiyon mein sabse sehansheel
Maano dhara par ho neeli jheel,
Sampoorn grih ki kehlaayein stambh
Fir bhi na bhare koi dambh,
Kya Ishwar? or Kya Insaan?
Sabhi karein 'Pita' ka samman,
Chahe Saptarishi hon ya Parashuram
Pita ka 'vaatsalya' nahin hai aam,
Dayitvon ka hai ati-bhaar
Jeevan ka unke yahi hai saar,
Sampoorn grih ki kehlaayein kavach
Sabhi yugon ka yahi hai sach,
Mata-Pita, yah pavitra gathjod
Koi-Kahin bhi na paya isko tod.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem