Maa Hi Sab Kuch Poem by abhipsa panda

Maa Hi Sab Kuch

Tera ansh hoke bhi tujhse dur hun,
aur duir hokar bhi tere sabse kareeb hun.

Rishtey to kaafi bane par unke apne daayre hain,
naam ke jude hain mujhse warna to sab paraaye hain.

Teri yaadon ko aankhon me samaaye rakhti hun,
aur tujhe dekhne ki tadap me aansu bahaya karti hun.

Sukoon nahin mujhe jo tujhe dekhe ek baras ho gaye,
bas fakra h ki tere laal v tere tarah zimmedaar ho gaye.

Patthar ke to saare murti ghar par rakhi hun,
par pujte waqt tere hi charan dhundaa karti hun.

Deva devi ko bhale hi bhagwaan maanti hun,
par bhakti to main bas apni Maa ki hi kiya karti hun.

Galti se jo dil dukhaaya uski maafi maangti hun,
par duniya me sabse jyada haq tujhi pe jataya karti hun.

Monday, September 28, 2020
Topic(s) of this poem: mother daughter
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success