Kyun? Poem by Aakash Nengroo

Kyun?

Rating: 4.8

Bhari mehfil mei thama haath uska
Mei itna be adab kyun hogaya hun?

Meri aawaz bhi sunta nhi woh
Mei itna be asar kyun hogaya hun?

Mohabbat ka meri charcha hain har soo
Mei itna naam war kyun hogaya hun?

Tumhari yaad mei roota hun har pal
Mei ab be yaar o sarwar hogaya hun.

Jo aata hai lagata hai voh thokar
Mei kyun raste ka pathar hogaya hun?

Kahan mei aur kahan ye gazal goyii
Mohabbat ki to shayar hogaya hun

Duaa hai hum ko voh pehchaan na len
Mohabbat se munawwar hogaya hun

Huaa aakaash jab se tera aashiq
Mei ab uska dewana hogaya hun..

Monday, February 22, 2016
Topic(s) of this poem: sad
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success