Kuchh bahana de de aie zindagi 
Ji janeko mai lalchaun.
Dukhon se bhari is dunia me
 kuchh pal khushi ke bhi main paun. 
Dar -badar bhatakti vicharon ki 
Is hawa ko rok kar  main, ise adig parvat
 shinkhla ka sundar swaroop de paun
Jisase na tut aashtha or vishwas ka
 daman mujhase or na kamjor mai
 kahlaun.
Jab janm leta hai jami par insa 
Tab hi sath chalti hai uske garm or sukun ki 
thandi                                                                                                                                                                                                                                                                                                                 hawa 
Dete hain dard garm hawaon ke aalam
To romanchit  kar jati  hai thandi 
hawaon. ki  thirkan. 
Sath gar eshwar mile tera to sarvatra 
 hai  chain or aman.
 
(mere pathako se nivedan hai ki yahan garm or thandi hawa ka aashay kripaya jivan ke
 
sukh or dukh. Hi len                
Dukhon se bhari is dunia me kuchh palkhushi kebhi mainpaun.... //.... Bahut sundar kavita jisme jiwan ki uhapoh tatha talkh sachchai dekhne ko milti hai. antt mein kuchh achchha ho is baat ki Ishwar se aas lagai gayi hai. kavita hrtu dhanywad, bahen.
Bahut bahut dhanywad bhai.. Bade bade dukhon se jab insan thak haar jata hai tab shayad ishwar aage uske sath kuchh achha karenge is aasha me hi insan ki sanse chalte rahti hain bhai.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
पंक्तियों में शब्द ऐसे जुड़ गए हैं कि पढना मुश्किल हो जाता है. उदहारण स्वरुप नीचे की दो पंक्तियाँ देखें: Jisasenatuteashthaorvi shwaska damanmujhaseornakamjormai