Kasoorwar Poem by Janid Kashmiri

Kasoorwar

Maazi mein ki itni khataayen,
Ab kuch bhi nahi karta hoon
Phir bhi har baar, har lamha,
Kasoorwar mein hi thehrta hoon

Ghaltiyon ka bojh uthaye phirta hoon,
Pachtawon ki raahon mein chalta hoon
Kuch bhi kar loon, kuch bhi keh loon,
Har baar mein hi kathere mein khada hota hoon

Zindagi ke is safar mein,
Kuch rahon par ghalat mod lein
Ab har mod pe yahi sunta hoon,
Kasoorwar mein hi thehrta hoon

Chaaha tha sanwarna, sudharna
Magar qismat ne di saza
Ab kuch bhi nahi karta,
Phir bhi gunahgaar mein hi kehlata hoon

Dil ki gehraiyon se maafi maangi,
Magar waqt ne di na koi panaah
Ab har pal, har lamha,
Kasoorwar mein hi thehrta hoon.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success