Karzdaar Huye Aaj Poem by abhipsa panda

Karzdaar Huye Aaj



Paidaishi to hum karzdaar the,
apne waalid aur khudaa ke.
Aaj unke bhi jo rakshak the,
chaadar odhi jinhone shaheedon ke naam ke.

Tufaan sa jaise machaa hai,
pure gulistaan me aaj.
Kya khoob taqdeer paaya hai,
jo Bharat Maa ki god me soye aaj.

Aankhen to humari nam hain,
jo apno ko yun kho diya.
Warna wo to muskura hi dete hain,
jo Maa ko gairon se bachaa liya.

Aaj fakra karte hain unpe,
jo humesha ke liye amar ho gaye.
Aur itihaas ke panno pe,
apna sunehra naam likh gaye

Friday, February 15, 2019
Topic(s) of this poem: country,grateful
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success