Maharam ka aaya mah haye haye,
Mujhe yaad aaye karbala haye haye.
Na fakat Saar-e-Hussain (as) kataa,
Kaat gayi bosagha haye haye.
Hemein Andhar pukare dulhan,
Qasim ka giraa sehra haye haye.
Kitni garam thi hak-e-Karbal,
Faraat hui bewafa haye haye.
Ik bar Jo lAaya tha paani,
Gaya shimar aa giraa haye haye.
Asseer banaya jab Zainib ko,
Neze peh shah bola haye haye.
LaAsh se lipte Abbas ki,
Beeti kahe baba haye haye.
Ranjoor the mujboor bi WO,
Hemon se aayi saddaa haye haye.
karbal ke har har zare ne,
Marsiya ro ke padha haye haye.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem