Maa teri ye hath kaisi hai,
Kanha se milne par bhi rok hai.
Tu chaaya babuji ki jaisi hai,
Kanha prem ka mujhe waisa hi rog hai.
Kaise karun bansi dhun ko ansuna,
tu kya jaane mere prem ki widambana.
Aaj bhi pratiksha hai...mera Kanha bulaaega,
apne aalingan se mera jeeven nikhaarega.
wo karta uphaaas zarur hai,
par mera man Kanha prem me chur hai.
Mai naa janu maa..ye abhimaan ya gurur hai,
par mere har vaani me Kanha ka hi sur hai.
Man mera kisi kaaj me na laage,
vivaah prastav se isiliye dil bhaage.
Ab Kanha pe cchod jo hoga so aage,
ye yauwan grihasthi nahin, bas Kanha darshan maange.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
An interesting poem expressing love for Krishna in the fashion of Mirabai, I feel Hindi in Roman script makes it a little difficult to read.