Kaise padheN Namaz o Quran, kaise Karen ibadateN? ? ?
Kabhi sehat sath nahi deti toh kabhi susti aadhe aajati Hai....
Bhool Gaye sab ab apni hi pehchan,
Mano ki ramzan meiN hi the musalmaan.
Na ibadath hoti Hai na hi dua ke liye hath uth the hain,
Kabhi mobile hath aajaati Hai toh kabhi tab meiN game yaad aajaati Hai..
Ramzan jaisa waqt har pal guzre,
Kya isliye ramzan Saal bhar Rahe? ? ?
Yeh toh mumkin nahi Ae Dost,
Kyun na hum hi ramzan jaise Saal bhar rahen...
Waqt ka paiyya kahin aage na badh jaaye,
Ramzan ke intizaar Mein dum hi na nikal jaaye..
Shukr aur sabr ke sath zindagi jo guzar jaaye,
Jeena bhi kamyab, marna bhi kamyab ho jaaye...
Almas Inab
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Waqt ka paiyya kahin aage na badh jaaye, Ramzan ke intizaar Mein dum hi na nikal jaaye.. Shukr aur sabr ke sath zindagi jo guzar jaaye, Jeena bhi kamyab, marna bhi kamyab ho jaaye... Masha Allah kia kahney hain...waqiyee donon jahan me kamyab... bahuth khoob...