Intezaar Rahegi Poem by Shrini Deewana

Intezaar Rahegi

Intezaar rahegi tumahari awaaz sun ne ki,
Dil mein jagi hai aag sanam tumhein milne ki,
Na jaane kab hoge armaan pura mere dil ka sanam,
Kab miloonga tumse aur hogi muraad puri sanam.

Dil ke ek tadap ko to tumne mita dala hai,
bhej kar apni tasveer dil ko mere samjhaya hai,
Aankhon se hat thi nahin hai tere tasveer sanam,
Teri har ada ko humne apne dil mein basaya hai sanam.

Gol chehara hai usmein narmo naazuk hai gaal tera,
Honth to aise jaise gulab ki pankhudiyan hai koi,
Tere aankhon mein ajab si kashish hai sanam,
Tere aankhon mein hi doob jaana chahate hai hum.

Tere gale mein hai sazi ek haar sone ki,
Sone ki haar mein moti banke sajna chahata hoon sanam,
Haathon mein kitni angootiyan hai sanam tum pehani,
Ek angooti banke mein tere haathon mein bas jaana chahata hoon sanam.

Tere haathon ko mein apne haathon mein thamna chahata hoon sanam,
Baahon mein apne tujhe mein bhar lena chahata hoon sanam,
Tere zulfon ki mehak ko mehasoos karna chahata hoon sanam,
Tujhko apne seene se lagana chahata hoon sanam.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success