Monday, October 15, 2018

Hysteria, A Prose Poem By T.S. Elliot In Hindi/Urdu Translation Comments

Rating: 0.0

Deewangi

Jab usne hasna shuroo kiya to main bhi hasnay laga lakin ghabir ho gaya jab main ne dekha k uske daant achnak hi taroN ki tarah chaamkne lagay thay aur military ki drill karnay lagay thay. Us ke cHotay saansoN main main jhukaDta gaya, jab kisi lahme ruk jaati thee, main us ke andhar aur gusarta gaya aur akhar main us k galay ki andheri lehroN main zakhmi honay laga. Ek booDaa waiter jis k haath kaanp rahey thay bhaga bhaga hamary table pe aaya aur laal kaalay chonay print k table cloth bichartay hur kehnay laga: "Kya janaab aur mohtarma bageechay main chai peena pasand karaeN gay. jya janaab aur mohtarma bageechy main chai peena pasand kareN gay..." Main ne sohna shuroo kiya k agar us k mammay hilnay-dhulnay bund ho jaaeN to hamari shaam bikhar na paeygi. Sochtay sochtay main ne phir dheeray se shaam ko sanbhala.
...
Read full text

COMMENTS
Close
Error Success