Jab manzil-e qaza se guzartee hai zidnagee
Tab reza reza ho ke bikhartee hai zindagi
Teri sabhi jafaooN ki aadat hai ab osey
Lekin tiree wafaoN se Dartee hai zindagee
Woh ek baar lauT ke aayega mere ghar
Har pal isee gumaaN meN guzartee hai zindagee
Manoos ho gayee hai shab-e Gham se is qadar
Aksar shabe wisal se Dartee hai zindagee
Mehnat, lagan, umeed, muqaddar sabhi hoN sath
Tab ja ke ik basher ki sanwartee hai zindagee
lagta hai raahgeer ki manzil hai ab qareeb
Jab maut ki gali se guzartee hai zindagee
Har lamha ik umeed ik armaN ik aarzoo
Ab "Aarzoo" ki aise guzartee hai zindagee
© Aarzoo Mehek.
Puri ghazal lajawab hay khas taur se yeh sheyr Mehnat, lagan, umeed, muqaddar sabhi hoN sath Tab ja ke ik basher ki sanwartee hai zindagee
Beautifully written mam... Dua hai us khuda se k apki har ghadi ho mubarak bahar-e-gulshan si Aarzoo teri mehke zindgee
Ameen...Thanks for such beautiufl lines Priyanka.. I wish you the same.
Wah wah...Ek dil ko choo jaane wali ghazal likh di aapne...Umda....10++++++++++ Woh ek baar lauT ke aayega mere ghar Har pal isee gumaaN meN guzartee hai zindagee......
Tahe dil se shukarguzaar hun ki aapko ye ghazal pasand aai hai. Umeed hai aapka saath is shayri ke safar main bana rahega.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Excellent poetry! Loved the scintillating expression. Top score.