Hmara pyara desh hai bharat,
Hai iski sanskriti atal,
Veero ke hatho aazad hua,
Unake balidano par bharat khushahaal hua,
Ekata, bhayichara, bhin-bhin tyohaar,
Sab shan hai bharat ki,
Border par veer sainik rahte tainat,
Kar parishram aur nind haram,
Karate ye desh ki rakhwali,
Tabhi shanti aur khushiyo se bhara,
Manate ham dashahra-id aur diwali,
Yu to bharat me hai,
Bhasha, dharm aur boli anek,
Par dhadkan sabki gunjati ek,
Kahati bas jay bharat maa, jai bharat maa, ...
Hariyali hai lahrati,
Khushiya ye baatati,
Vaadiyo se lekar shahro tak,
Hawa ke har jhoko ke sang,
Khushiya hai yaha jhumati,
Himalay hai sartaaj iska,
Delhi hai dhadkan iski,
Lal kila, India gate, taaj mahal,
Jaise kayi aan baan shan hai bhaarat ke,
Hum aur aap base isme jaan hai bharat ke.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem