Ghazal 155850 Poem by Colonel Muhamad Khalid Khan

Ghazal 155850



Muhammad Khalid Khan
December 14,2018 ·
Ghazal
Tum kaho to main bus wahan rakhon
Itnay dil main kahan kahan rakhon
Hay sanam khana ye jahan sara
Tum kaho main zuban kahan rakhon
Husan nay hosla barha hay
Ishq ko kiyun na darmian rakhon
Ang ang main charagh jaltay hain
Hain andheray kahan kahan rakhon
Hay Bhanwar main ye zindgi sari
Kia main kishti main badban rakhon
To mujay mil gia hat rastay main
Pass kiyun ab main do jahan rakhon
Zardsahra main hay safar sara
Sar pa phir kiyun main aasman rakhon
Umar sa kaisa lena dena hay
Dil ko ah jan na kiyun jawan rakhon
Sath hain teray shahr bhar ka log
Dil ko main kitna baguman rakhon
Mehr dushman howa jahan sara
Bolo janan ko main kahan rakhon
Colonel Muhammad Khalid Khan
Copyright 2018 Hath Main Hath

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success