Ek anjaan mod pe, ek adhura sa kitab mila
Jise poora karna zindagi ka maksad ban chuka
Har panne me hai, ek ankahi kahani chipi
Jiske mohabat ke lamhe dil ko chu gayi
Panne jo pad chuka vo dil ka dastoor ban gaya
Har adhure kisse me muje uska akelapan dhik raha
Dheere se jab mita raha aadhurapan un kahaniyo ki
Mahasoos ho rahi har kirdar ki zindagi
Khaamoshi me the kuch, kuch ki thi dhuk bhari daasta
Jab bhi bharna chahu khushia, vo panna na maanta
Rok dia khud ko, aur na dhek saka kitab ke dard ko
Sahara ban ne un kahaniyo ki,
Likhna shuru kia ek naya sira jaha adhura na hoga koi kirdar
Bahut khoob nazm hai, Sanjay. Read my poem, Love and L u s t. Thanks.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Akelapan aur khamoshiyan sab dikhta hai jo dekhna cahe. Kahani aapni zubani anmol hoti hai. Bahut khoob rachana.