Dard bhaut tha
Ansu bhaut they
Tadap bhaut thi
Par kya faida
WO college tha
Samjhdar student they
Dil mein aag thi
Par kya faida
Ek desh tha
Sarey bhai they
Batwarey ki mang thi
Par kya faida
Pathar sa tha
Kantey hi kantey they
Kuchli si Kali thi
Par kya faida
Mein pareshan tha
Sabhi pareshan they
Meri kalam hairaan thi
Par kya faida
WO desh bhaqt tha,
Barfiley toofan they
Jahan kabr bani thi
Aab kya faida
Neta mahan tha,
Uskey sapney mahan they,
Himmat ki baat thi
Aab kya faida
Maa ka beta tha,
Maa key khab kai they,
Ek galat RHA thi
Aab kya faida
Mein bhaut likhta tha
Log meri kalam ki suntey they,
Duniya badalney ki iccha thi
Aab kya faida
कवि का भावुक हृदय इन सारी विसंगतियों को देख कर निराशा से भर जाता है तथा अपने लेखन से समाज में बदलाव लाने का प्रयत्न करता है पर अंत में वह तड़प कर कह उठता है: आखिर क्या फ़ायदा. धन्यवाद, मिथिलेश जी.
Thank you sirji...... dard mujhmey hai, dard tujhmey bhi, tu mujhmey hai mai tujhmey bhi, hansley sath baith key hum bhi kabhi, gum tujhmey bhi bahut hai mujhmey bhi.....
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
A beautiful poem....thought provoking....liked it.... :)