Dard Poem by anju addanki

Dard

Iss dard ka kya karoon-
Jo ek toofan ki tarah dil mein basa hai,
Behtein hain aankhoin mein aansu ki tarah,
Na koi samajhta hai na koi dektha hai-
Bas aankhoin ko aadat si hogaya hai,
Be waqt aur be wajah se behte jaatein hai,
Dil ko sambhalna assan nahin hota -
Bas aurat hoon to aadat hogayi hai,
Thama leti hoon usse dil ke andar,
Phir muskurata chera lekar guzar jaati hai yeh zindigi.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
aurat ki dard ki kahani
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success