Dekho ji sadkon pey tamasha, ijjatdaar dikha rha hai …..
Taraju lekey hath mein, insaan banta jaa rha hai …..
Imann becha jaa rha, imam kharida jaa rha …..
Nacho, jhoomo ……………. Chunao manaya jaa rha hai …….
Mujhko tujhsey, tujhko mujhsey juda kiya jaa rha hai ….
Tukdey karkey jameen ko milaya jaa rha hai ….
Tinka tinka bikhra hua hai dil yehan fiza mein….
Ye dimag walon ka jahan hai …. Satranz bichaya jaa rha hai ….
Pet bhar key khao ………. Chunao manaya jaa rha hai ……..
Puja ho rhi hai praja ki, gantantantra manaya jaa rha hai ……
Jhutha hi sahi par sunder ek sapna dikhya jaa rha hai …
Rang gyi hai khaddar sabki …. Rangey gulal mein …..
Jaisey mahino sey holi manay jaa raha hai …….
Aao rang lo tum bhi ………. Chunao manaya jaa rha hai …..
Juban ki aag sey dekho, sehar jalaya jaa rha hai …
Ghar phoonk key humara dekho jeewan roshn kiya jaa rha hai ….
Tel yeh bhartey jaa rahey hain, humarey jewwan key chirag mein …
Jaisey sehar mein deepawali ka utsao manaya jaa rha hai ….
Aao ek diya jala lo tum bhi …….. chunao manaya jaa rha hai ….
Phir lutna hai, tutna hai, tinkey sey bikhar jana hai ….
Phir roti rozi ki bookh mein wadey bhul jana hai …..
Laut key aana hai yehin issi jiwan mein …..
Ghum lo thoda ……. Ye sapno key sehar ka nazara karaya jaa rha hai ……….
Jag jao ….. suntey ho jaag jaaoooo. ……. Chunao manya jaa rha hai ……….
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem