Behnein (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Behnein (Hindi)

Behnein na jane kab badi ho jati hain
Doosre ghar ko hi mehkati hain
Woh galiya or woh chaubaare
Bs reh jate hain yaadon k sahaare

Behnein na jane kab badi ho jati hain
Doosre ghar ko hi mehkati hain
Pita ke sang woh hamjoli
Bhaiyon ke sang hansi thitholi

Behnein na jane kab badi ho jati hain
Doosre ghar ko hi mehkati hain
Maa se woh nayi nayi seekh lena
Behnon se har baat keh dena

Behnein na jane kab badi ho jati hain
Doosre ghar ko hi mehkati hain
Pariyan hoti hain par parayi
Yahi dastoor hai yahi sachhai....

Saturday, March 3, 2018
Topic(s) of this poem: sisters
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success