Aur tum jante thai ki mai masoom hun, pyaar mai doob jaungi aur doobne ke baad fir kabhi tair ke sahil ke kinare nahi ja paungi.Jana bhi kahan hai? Shadi koi khel nahi, par shadi koi samjhota bhi nahi, shadi koi dikhawa bhi nahi. Aur jo tum kar rahe ho wo mujhe na hi tumse dur kar raha hai balki mere andar se pyaar bhi khatam kar raha hai.Par kya karun masoom hun na toh doobey rehne ka mann karta hai chahe pyaar ka piyaala jitna bhi garam ho ya thanda. Suna hai, 'Shadi se pehle pyaar ek haseen khwaab lagta hai' aur main bhi, der se hi sahi, par ramta jogi bann gayi, pakiza ishq mai. Bhot bhole thai tum, duniya se alaag, bhot apney thai tum, tumse milne ke baad maine jana ki mujhe tumhari nahi, tumhare bas pyaar aur nawazehein ki talaash thi. Tum sabar ka wo ek loata tarif thai ki tumne mujh mai bhi sabar bhar diya. Tum uns ka wo mala thai jise mai shaam-e-subah apni zubaan pe ek namaz ki tarah rooz padhti thi. Mera koi maqsad nahi tha mahobhat ki azaan mai qaid hona.Jo bhi kiya wo tumne kiya. Tumhare ye jahan se alaag hone par ye duniya bhot rangeen lagne lagi ki har mard ek jaisa nahi hota. Ab toh mai bhot aage bardh chuki hun. Aur tum muje kahin nazar nahi aate.Pehle toh neend mai bhi baatein hazar hoti thi aur ab akele baithe bhi baat nahi hoti.Kya tumhara mann bhar gaya ya mai purani hogyi? Kya tumhe shikayatein hai ya mera likhna tumhe pasand nahi?
Takleef toh bhot hoti hai ki ab toh mere ansun aur shabdh bhi bayan nahi kar pa rahe jo mujh pe guzar rahi hai wo kaise bahar nikaley?
Dang toh reh gayi main.Abhi bhi hairat ki hayat mai hi jee rahi hun.
Itna hi alaag, dur aur anjaan bann kar rehna hai, toh tumhe wo azaadi bhi hai, mujhse dur jane ki, bas dobara agar kahin bhatak jao toh mere kareeb mat ana. Dobara agar akele ho jao toh mujhe pyaar mat karna.Ye tutta hua dil hai jaan, jaan hoti toh yun jaan na lete.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem