Kitni chota bana diya hai mere desh ko saheb
Maa, baap, rishta koi bhi ho …. Dil mein nhi Samata
Tizoriyan pati padi hain noto sey
Insaan ka pet nhi bhar pata
Mangtey mangtey ban gaya koi raja desh ka
Dete Dete hi Mar gaya mudda vote ka
Khoon beh rha hai nalon mein
Kahin insaan Nazar nhi aata
Khaddar ka kafan odhey
Tumney zameer ko dafna diya
Mohabbat, bhaichara,
Sab chunawi wadon sang todh diya
Aye rehnuma mere desh key
Aakhir tu hai kiska
Na mera Na uska Na aapney immaan ka
Ye Kaisa roop bana liya Saheb
Kitna chota kar diya kad Seva aur samarpan key pad ka
Kitna chota kar diya mera desh aye Saheb …..
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem