akhri bar jab humne unhe dekha
akele baythe thea sahme sahme se
bus ki pehli seat par tanha tanha
chad gaye hum jab bus mein
unhone hume dekha aur humne unhein
ek lehar si uth gayi dil mein
lekin lachar thea hum dono
na bath kar sake na muskura sake
uss akhri mulakat mein bhi
hum unhe dekhkar nikal gaye age
gam e dil ko lekar hamesha ke liye
zindagi ki ye akhri mulakat
ek dard ban kar ati hai samne
wo akhri mulakat wo akhri mulakat
dil mein basi hai ye tasveer
mitane par bhi nahi mit ti
nikaloge hath dalkar, mere kabar se
milegi ye tasveer khak e dil se
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem