gahra tha bahot ishq ke daryaooN ka paani
main Doob gayee paani meN naadaan divaanii
kuch sufHe abhee likhne ko baaqi haiN mire dost
...
Read full text
My poem The Incomplete Love Story is a translation of this beautiful Ghazal.
Hi Mehak, Loved reading the gazal again and again. Exquisite. No more to say. Aa javo, ki sunaaoom tanhayee ke qissey. I am reminded of the famous song rendered by Noor Jehan Begum(?) : Kabhee tanhaaiyom mein Tumhari yaad aayagii Great work Aarzoo. Could we hear it in your voice?
Adhuri mohabbat ka izhaar bakhubi Kiya Hai aapne.. Great lines, great poem.
HaNs haNs ke uThaya hai Sadaa bojh ghamoN ka Ai Aarzoo is dil ne kabhi haar na maanee An amazing ghazal, perfect all means, touching thoughts, beautiful words and lines flowing like a flooded river.
Beautiful ghazal.... Adhuri ye mohobbat ki kahani Adhuri se puri karain pyar ki kahani....thank you for sharing :)
Lovely...... Loved it Ro lun maan bhar key ye aarmaan to hai.. Kambhaqqat namak ka pani hai... Kisi kaam ka bhi nhi.
Adhoori! Love; deep love! ! Full of respect with the laws of righteousness. Nice piece of work.
bahut khoob aarzooji...SubhanAllah... har roz suno aisi ghazal koi yehi hai ab is dil ki tamannah o aarzoo
main chup thee magar chhup na saka dard-e gham-e dil aaNkhoN ne bata dee hai mire dil ki kahani.... behtereen kalmaat.....isi k mutaalakh humse bhi kuch sunleiN aankhonne meri mujhse kiye dhoke bahut hain kabhi humse wafaa ki na kabhi unse wafaa ki..
Waahhhh kya baat hai... ye kambakht ankhein humesha dhokha de deti hai.
Jaate hai chod ke hume woh jinshe mohabaat kiye hum Par na jaane chod kyun jaate hai peeche us mohabaat ke nishaniyaan, Yaadein, tasveerein, aur kuch ankahi bateen... Har na khatam huyi mohabaat ki shayad yahi kahani hoti hai... Ek behtareen ghazal Arzoo.. Dil ko chu gayi.. Sukhriya.10/10...
Pazeerai ka shukriya Souren. Ek ahoori kahani sabki zindagi ka hissa hoti hai...hai na Souren?
Sahi kaha Arzoo.. Shayad humari zindigi inhi adhuri kahanio se hi banti hai.. Kambakhat sirf iss baat ki afsoos hoti hai, ke na ye sirf hasati, na sirf rulati hai - kabhi haste haste ro parte te hai hum, to kabhi rote rote has de te hai..
Dil ko chooNe wali nazm hai, badi dil kash andaz mein bayan ki hai aapne " Ek Adhuri Kahani" Shayad is kahani ka Adhura Hissa kahin aur kahani mein mil jaye....