Muskil bahut manusya ki sakh lag rĥi hai
Subah subah kasai ki dukan pey bhid jaam rhi hai ….
Aaj holi hai ……. Insaniyat kat rhi hai ……
Aaj holi hai ….. insaniyat bik rhi hai …….
Aaj pyar jataney ko hala ka sahara hai
Pyaley ki dhun baj rhi hai ….
Aaj holi hai …. Mohabbat jal rhi hai ….
Aaj holi hai ….. insaniyat jal rhi hai …..
Bhabhiji dar rhin hain ghar sey bahar aaney ko ….
Mamta ki jagah hawas aa rhi hai ……
Aaj holi hai …… mohabbat kali par rhi hai ….
Aaj holi hai ….. ibadat meri hil rhi hai …..
Kalam ko mere phalgun ki khubsurti sey jayeda ….
Ek kasai ki dukan aakarsit kar rhi hai …..
Aaj holi hai ….. kalam ro rhi hai ….
Aaj holi hai …… insaniyat ro rhi hai …….
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem